A guest is like rain: when he lingers on, he becomes a nuisance
- Polish proverb
...
Ho Chuka Hai Ganesh Ji Ka Visarjan,
Par Shaayad Yahin Chod Gaye Weh Apna
Waahan,
Jo Mere Ghar Aaya Hai Bankar Mehmaan,
Aur Jisne Kar Rakha Hai Mujhe Bada
Pareshaan.
Mere Kitchen Mein Karke Aasan Grahan,
Choohey Maharaj
They Athi Prasann,
Nahi Tha Woh Koi Awesome Sight,
I was in an Awful Fright.
Jab Choohey Ji Laute Doosre Din,
Maine Sink ke Paas Rakha Rodine.
Chakh Kar Usey Gaye Choohey Ji,
Aur Phir Se Lautey Agley Din!
Us Din Laayi Main Ek Mouse Trap,
Par Nikla Woh Ekdum Crap.
Fasey Nahi Usme Choohey Saahab,
Sirf Trap Se Hua Peanut Butter Gaayab!!
Kal Pahunchi Jab Main Pooja Room,
Paaya Wahaan Par Choohey Maharaj Ka Poop!
Ab Samajh Mein Aayi Baat,
Kyon Nahi Lagey Woh Ab Tak Haath?
Karthey Jo Hongey Roz Prarthana –
''Hey
Ganpathi Bappa, Raksha Karna''!
Shaam Ko Kar Rahi Thi Gaane Ka Riyaaz,
Room Se Aa Rahi Thi Choohey Ji Ki Awaaz,
Lagaaye Jo Maine Oonchey Sur,
Shaayad Lag Gaya Unko Dar,
Tab Se Chup Rahey Hain Basement Mein!
Samjhoon Isko Insult Ya Compliment Main??
Kaise Karoon Choohey Ji Ko Baahar?
Kaash Yahaan Hotey Pied Piper.
Par Mazedaar Rahi Yeh Bhaagam-Bhaag,
Jaise Tom and Jerry Ki Ho Chhed-Chaad.
Hey Ganpathi Bappa Raksha Karna
Is Baar Hoga Jerry Ko Haarna!!!!!!!!!!